Sunday 30 August 2015

Akele Na Jana, Armaan





Akele Na Jana humeen choor kar tum
Tumare binaaa hum bhala kiya jiyeen ge
Akele Na Jana
Bohut dukh deye hain humeen zindagi ne
Humeen aur ghum ab na tum de k jao
Nigahon ki sehmi hui iltejayen
Sada de rahi hain k ab lout aoo
Karo yaad tum ne yeh wada kiya tha
Hum ek dusare ka sahara banen ge
Akele Na Jana
Har eik moor par hain riwajon k pehray
Tumhi ko naheen is ka sab ko gilah hay
Magar loog jitay hain in mushkilon main
Hay jin ka naheen koy un ka KHUDA hay
Yeh dukh yeh udasi yeh aansu yeh ahhain
Chale aoo mil k yeh ghum baant leen ge
Yehi hay tamana
Yehi iltijaa hay
Aur iss kay siwa hum bhala kya kahay gay
Akelay na jana, hamay chor kar yoon,
tumharay bina hum bhala kya jiye gay
Akele Na Jana..
Akele Na Jana..
Akele Na Jana !








No comments:

Post a Comment